زمانہ ديکھے گا جب مرے دل سے محشر اٹھے گا گفتگو کا
- Parent Category: (با نگ درا(حصہ دوم
- Hits: 207539
- Print , Email
زمانہ ديکھے گا جب مرے دل سے محشر اٹھے گا گفتگو کا
مري خموشي نہيں ہے ، گويا مزار ہے حرف آرزو کا
جو موج دريا لگي يہ کہنے ، سفر سے قائم ہے شان ميري
گہر يہ بولا صدف نشيني ہے مجھ کو سامان آبرو کا
نہ ہو طبيعت ہي جن کي قابل ، وہ تربيت سے نہيں سنورتے
ہوا نہ سرسبز رہ کے پاني ميں عکس سرو کنار جو کا
کوئي دل ايسا نظر نہ آيا نہ جس ميں خوابيدہ ہو تمنا
الہي تيرا جہان کيا ہے نگار خانہ ہے آرزو کا
کھلا يہ مر کر کہ زندگي اپني تھي طلسم ہوس سراپا
جسے سمجھتے تھے جسم خاکي ، غبار تھا کوئے آرزو کا
اگر کوئي شے نہيں ہے پنہاں تو کيوں سراپا تلاش ہوں ميں
نگہ کو نظارے کي تمنا ہے، دل کو سودا ہے جستجو کا
چمن ميں گلچيں سے غنچہ کہتا تھا ، اتنا بيدرد کيوں ہے انساں
تري نگاہوں ميں ہے تبسم شکستہ ہونا مرے سبو کا
رياض ہستي کے ذرے ذرے سے ہے محبت کا جلوہ پيدا
حقيقت گل کو تو جو سمجھے تو يہ بھي پيماں ہے رنگ و بو کا
تمام مضموں مرے پرانے ، کلام ميرا خطا سراپا
ہنر کوئي ديکھتا ہے مجھ ميں تو عيب ہے ميرے عيب جو کا
سپاس شرط ادب ہے ورنہ کرم ترا ہے ستم سے بڑھ کر
ذرا سا اک دل ديا ہے ، وہ بھي فريب خوردہ ہے آرزو کا
کمال وحدت عياں ہے ايسا کہ نوک نشتر سے تو جو چھيڑے
يقيں ہے مجھ کو گرے رگ گل سے قطرہ انسان کے لہو کا
گيا ہے تقليد کا زمانہ ، مجاز رخت سفر اٹھائے
ہوئي حقيقت ہي جب نماياں تو کس کو يارا ہے گفتگو کا
جو گھر سے اقبال دور ہوں ميں ، تو ہوں نہ محزوں عزيز ميرے
مثال گوہر وطن کي فرقت کمال ہے ميري آبرو کا
------------------------
Transliteration
Zamane Dekhe Ga Jab Mere Dil Se Mehshar Uthe Ga Gutugoo Ka
Meri Khamoshi Nahin Hai, Goya Mazar Hai Harf-e-Arzoo Ka
Jo Mouj-e-Darya Lagi Ye Kehne, Safar Se Qayem Hai Shan Meri
Guhar Ye Bola Sadaf Nasheeni Hai Mujh Ko Saman Aabru Ka
Na Ho Tabiat Hi Jin Ki Qabil, Woh Tarbiat Se Nahin Sanwarte
Huwa Na Sar Sabz Reh Ke Pani Mein Aks Saru-e-Kinar-e-Joo Ka
Koi Dil Aesa Nazar Na Aya Na Jis Mein Khawabida Ho Tamanna
Elahi Tera Jahan Kya Hai, Nigar Khana Hai Arzoo Ka
Khula Ye Mer Kar Ke Zindagi Apni Thi Tilism-e-Hawas Sarapa
Jise Samajhte The Jism-e-Khaki, Gubar Tha Kooye Arzoo Ka
Agar Koi Shay Nahin Hai Pinhan To Kyun Sarapa Talash Hun Mein
Nigah Ko Nazzare Ki Tamanna Hai, Dil Ko Soda Hai Justujoo Ka

Chaman Mein Gulcheen Se Ghuncha Kehta Tha, Itna Bedard Kyun Hai Insan
Teri Nigahon Mein Hai Tabassum Shakista Ho Na Mere Saboo Ka
Riyaz-e-Hasti Ke Zarre Zaree Se Hai Mohabbat Ka Jalwa Paida
Haqiqat-e-Gul Ko Tu Jo Samajhe To Ye Bhi Pema Hai Rang-o-Bu Ka
Tamam Mazmoon Mere Parane, Kalam Mera Khata Sarapa
Hunar Koi Dekhta Hai Mujh Mein To Ayb Hai Mere Ayb Joo Ka
Sapas Shart-e-Adab Hai Warna Karam Tera Hai Sitam Se Barh Kar
Zara Sa Ek Dil Diya Hai, Woh Bhi Faraib Khurda Hai Arzoo Ka
Kamal-e-Wahdat Ayan Hai Aesa Ke Nauk-e-Nashtar Se Tu Jo Chaire
Yaqeen Hai Mujh Ko Gire Rag-e-Gul Se Qatra Insan Ke Lahoo Ka
Gya Hai Taqleed Ka Zamana, Majaz Rakht-e-Safar Uthaye
Huwi Haqiqat Hi Jab Namayan To Kis Ko Yara Hai Guftugoo Ka
Jo Ghar Se Iqbal Door Hun Main, To Hun Na Mehzoon Aziz Mere
Misal-e-Gohar Watan Ki Furqat Kamal Hai Meri Abroo Ka