Menu

A+ A A-

 

 
مثال پرتو مے ، طوف جام کرتے ہيں
يہي نماز ادا صبح و شام کرتے ہيں
خصوصيت نہيں کچھ اس ميں اے کليم تري
شجر حجر بھي خدا سے کلام کرتے ہيں
نيا جہاں کوئي اے شمع ڈھونڈيے کہ يہاں
ستم کش تپش ناتمام کرتے ہيں
بھلي ہے ہم نفسو اس چمن ميں خاموشي
کہ خوشنوائوں کو پابند دام کرتے ہيں
غرض نشاط ہے شغل شراب سے جن کي
حلال چيز کو گويا حرام کرتے ہيں
بھلا نبھے گي تري ہم سے کيونکر اے واعظ!
کہ ہم تو رسم محبت کو عام کرتے ہيں
الہي سحر ہے پيران خرقہ پوش ميں کيا!
کہ اک نظر سے جوانوں کو رام کرتے ہيں
ميں ان کي محفل عشرت سے کانپ جاتا ہوں
جو گھر کو پھونک کے دنيا ميں نام کرتے ہيں
ہرے رہو وطن مازني کے ميدانو!
جہاز پر سے تمھيں ہم سلام کرتے ہيں
جو بے نماز کبھي پڑھتے ہيں نماز اقبال
بلا کے دير سے مجھ کو امام کرتے ہيں
 
----------------
 
Transliteration
 
Misal-e-Partou Mai Tof-e-Jaam Karte Hain
Yehi Namaz Ada Subah-o-Shaam Karte Hain


Khasoosiat Nahin Kuch Iss Mein Ae Kaleem Teri 
Shajar Hajar Bhi Khuda Se Kalam Karte Hain


Naya Jahan Koi Ae Shama! Dhoondiye Ke Yahan
Sitam Kash-e-Tapish-e-Natamam Karte Hain


Bhali Hai Hum Nafso Iss Chaman Mein Khamoshi
Ke Khushnawaon Ko Paband-e-Daam Karte Hain


Gharz Nishaat Hai Shughal-e-Sharab Se Jin Ki
Hilal Cheez Ko Goya Haram Karte Hain


Bhala Nibhe Gi Teri Hum Se Kyunkar Ae Waiz!
Ke Hum To Rasm-e-Mohabbat Ko Aam Karte Hain


Elahi Sehar Hai Peeran-e-Kharqa Posh Mein Kya! 
Ke Ek Nazar Se Jawanon Ko Raam Karte Hain


Main Un Ki Mehfil-e-Ishrat Se Kanp Jata Hun
Jo Ghar Ko Phoonk Ke Dunya Mein Naam Karte Hain


Hare Raho Watan-e-Maazni Ke Maidano!
Jahaz Par Se Tumhain Hum Salam Karte Hain


Jo Be-Namaz Kabhi Parhte Hain Namaz Iqbal
Bula Ke Dair Se Mujh Ko Imam Karte Hain

IIS Logo

Dervish Designs Online

IQBAL DEMYSTIFIED - Andriod and iOS